Sabzi Farosh ka Mehbooba k nam khat

Tamatar ki tarha meri khoobsoorat Mehbooba!
Aadab k bad arz he keh tum to aise khafa ho gai ho, jis tarha sardion main krelay naraz ho jate hain.
tum janti ho keh tumhari judai me mera chehra be mosmi sabzion ki tarha beronak ho gia he or tumhain ye bhi maloom he k jab tak mai tumhari podeene jesi sabz Aankhain
na dekh lun, meri tabiat Saag k ubaal ki tarha bechain rehti he.
main ne kab se desi teenday jesi angothi tumhare liye banwai hoi he or main ise tumhari bhindi jesi ungli main pehnane k liye be karar hun
tum ko kese samjhaun k Mehboob or Mehbooba sabz mirh or adrak ki tarha lazim-o-malzoom hain.
magr aik tum ho keh har wakt sabzi mandi k bhao ki tarha nak bhanwe harhaye rakhti ho.kabhi to phool gbhi ki tarha khila huwa hehra dikha dia karo, ye kia har wakt band gochi ki tarha mun bnd rakhti ho.
mana k mera rang bengan ki trha kuch paka he magr mere dil k haseen jazbaat shaljam ki tarha sufaid or palak ki trha haray bhay hain.
 dekho apne pya ko sirf or sirf Aaloo ki trha bnao, jo har wkt or her mosam main dastyab hota he, isi main ham 2no ki bhalai he.
© urdumix | Blogger Template by Enny Law